Vadim
Can anyone translate? Project Manager : hadd ho gayi ab toh agla project de hi diya jaaye Developer/Designer: Sir ji project dene se pahle main kuchh arge karna chaahunga CEO/MD : bakte raho.. Developer/Designer: Pahle project main yeh kaha gya ki project chota hai jaldi khatam ho jaayega lekin woh pure 3 mahine chalta raha dusre project main bhi client meeting ke 20 din baad project mila aur kaam suru hua ek mahine baad, jabki meeting main maine yeh saabit kar diya ki development main deri nahi hai project late mila hai aur Shekhar bhi us din saare sach kahne hi wala tha; ki project manager ne phir se apni chaal chal di client no-responding karke baat taal li, nahi toh usi din sir ji mujhe ghar jaane ki chutti mil jaati, aur aaj aap fir se project de rahe hain......... is project se pahle ki thapp se kisi court main panggaa aajayega aur main 1 mahine ke liye fir latak jaaunga aur aap fir se project de denge aur us project se pahle koi na koi developer resign maar ke chala jaayega aur is tarah naa toh develpment ke liye koi rahega aur naa hi chutti maangne wala rah jaayega toh sirf project aur yahi hota raha hai sir ji project pe project project pe project project pe project .... project pe project milte rahe hain lekin increament nhi mila sir ji, increment nahi mila....... mila hai toh sir yeh project project ke managers ne project ko chuttiyon ke khilaap ek hathiyaar ki tarah istemaal kiya hai sir ji, do project ke beech office ke bahar yeh chuttiyon ka dhanda karte hain, dhanda! jahan HR pataye jaate hain unhi ko saare samoshe khilaaye jaate hain aur rah jaate hain sirf projects... log engineering ke liye apni zameen jaayzaad bechkar padhte hain, aur milte hain toh sirf projects aurton ne apne gahne jewar yahan tak ki mangalshutra bhi beche hain bachhon ke liye aur unke bachhon ko bhi mile hain projects sql, .net, java, main ghus ghus ke kai saare engineers khud ban jaate hain project aur unhe bhi milte hain sirf proooject yeh haal pure hindustan ke kamjor aur sataaye hue engineers ka hai aaj un sabki nazrein aap pe gadi hain aap par, ki aap unhe kya dete hain INCREMENT YAH PROJECT agar aap unhe increment nahi de sakte toh band kijiye yeh outsourcing, ukhaad fenkiye yeh computers ko faad dijiye uninstall kijiye in saare softwares ko taaki projecton ke in chakkron main engineers tabaah naa ho! barbaad na ho! https://www.facebook.com/photo.php?v=446960662024343
Jan 23, 2013 1:59 AM
Answers · 2
1
Project Manager : hadd ho gayi ab toh agla project de hi diya jaaye now it is too much, now new a project should definitely be given. Developer/Designer: Sir ji project dene se pahle main kuchh arge karna chaahunga Sir ji. before giving project i would like to argue something. CEO/MD : bakte raho.. keep spewing. Developer/Designer: Pahle project main yeh kaha gya ki project chota hai jaldi khatam ho jaayega lekin woh pure 3 mahine chalta raha in first project it was ssaid that the project is small and will complete quickly but it went on for whole 3 months. dusre project main bhi in second project too client meeting ke 20 din baad project mila aur kaam suru hua ek mahine baad, project was alloted 20 days after client meeting and work started 20 days later, jabki meeting main maine yeh saabit kar diya ki development main deri nahi hai infact in the meeting i proved that development was not late project late mila hai aur Shekhar bhi us din saare sach kahne hi wala tha; ki poject was given late and Shekhar too was going to speak all truth on the day;but project manager ne phir se apni chaal chal di client no-responding karke baat taal li, project manager againg played his trick. he defered the topic saying 'Client not-responding'. nahi toh usi din sir ji mujhe ghar jaane ki chutti mil jaati, else i would have got leave to go to home on that day, aur aaj aap fir se project de rahe hain.... and u, today are giving me project again... ..... is project se pahle ki thapp se ......the line is not properly understandable kisi court main panggaa aajayega there will be a problem with/by some court. aur main 1 mahine ke liye fir latak jaaunga aur aap fir se project de denge and i will again be hooked for a month and u will give a project again. aur us project se pahle koi na koi developer resign maar ke chala jaayega and before that project definitely any developer will resign and go. aur is tarah naa toh develpment ke liye koi rahega aur naa and in this way niether willbe any one for development and nor
January 24, 2013
Still haven’t found your answers?
Write down your questions and let the native speakers help you!